Monday, August 19, 2013
Monday, July 29, 2013
Thursday, June 13, 2013
10:43 PM by UnknownNo comments
Tere To Sun
Ko Saba Bandhte Hain
Hum Bhi
Mazmoon Ki Ki Hawa Bandhte Hain
Aah Ka Kis
Ne Asar Dekha Hai
Hum Ik Apni
Hawa Bandhte Hain
Teri Fursat
Ke Muqabil Aey Umar
Barq Ko Paa
Ba Hina Baandhte Hain
Qaid-E-Hasti
Se Rihaaii Maaloom
Ashk Ko
Be-Sar-O-Paa Baandhte Hain
Ghalti Haye
Mazameen Mat Pooch
Log Naaley
Ko Rasa Baandhte Hain
Ahl-E-Tadbeer
Ki Wamandgiyaan!
Aablon Par
Bhi Hina Baandhte Hain
Saada
Pur’kaar Hain Khoobaan, Ghalib
Hum Se
Paimaan-E-Wafa Baandhte Hain
10:41 PM by UnknownNo comments
Main Usse
Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya,
Aur Usne
Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya,
Ghar Se Be-Ghar
To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne
Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,
Uski Ek
Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye,
Jaise Kisi
Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,
Mohabbat
Mein Meri Hi KaMi Thi Ye Ehsaas Dila Diya,
Jabse Maine
Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya.
10:36 PM by UnknownNo comments
Zara Sa
Aasmaan Diya Hota
Meri
Wafaaon Ka Sila Diya Hota
Maanga Tha
Kuch Pal Ka Saath
Mere Hisse
Ka Pyaar Diya Hota
Na Gila
Hota Tujh Se Kabhi Bhi
Meri
Shikayaton Pe Nazar Kiya Hota
Intezaar-E-Sanam
Jaan Leva Ehsaas Hai
Mere Pyaar
Ka Ehsaas Sangdil Zara Hota
Har Kadam
Par Jhoote Waade Kiye Hai
Tere Kasmon
Ka Sahaara To Mila Hota
Jhooti Aas
Main Jee Leti Zindagi
Kaash Laut
Aane Ka Waada Kiya Hota
Na Umeed Ki
Koi Kiran Nazar Aati Hai
Tere Pyaar
Ne Yun Tabaah Na Kiya Hota
Na Ho Raha
Hai Yakeen Teri Bewafaai Ka
Kaash Teri
Farebi Baaton Ko Jaan Liya Hota
Paa Liya
Tune Kinaara Doobo Ke Mujhko
Majhdaar
Main Kashti Ko Doboya Na Hota
Kinaare Ki
Umeed Main Tayarti Rahi
Kaash
Hasraton Ka Kinara Kareeb Hota
10:34 PM by UnknownNo comments
Bas K
Dushwar Ha Har Kam Ka Asan Hona.
Aadmi Ko
Bhi Mayassar Nahi Insan Hona
Grya Chahy
Ha Kharabi Mery Kashanay Ki
Dar O
Deewar Se Tapkay Ha Bayabaan Hona
Wae Dewangi
E Shouq K Har Dam Mujh Ko
Aap Jana
Udhar Or Aap Hi Hairaan Hona
Jalwa Az
Bas K Taqaza E Nigah Karta Ha
Johar E
Ayena Bhi Chahiay Mizghan Hona
Isharat E
Qatl Gah E Ehl E Tamanna Mat Pooch
Eid Nazzara
Ha Shamsheer Ka Uryaan Hona
Lay Gaey
Khaak Main Ham Dagh E Tamanna E Nishat
Tu Ho Or
Aap Basad Rang E Gulistaan Hona
Ishrat E
Para E Dil Zakhm E Tamanna Khana
Lazzat E
Raish E Jigargharq E Namakdaan Hona
Ki Mery
Qatl K Bad Us Ne Jafa Se Tobah
Haey Us
Zood E Pashemaan Ka Pashaiman Hona
Khaif Us
Chara Gra Kapray Ki Qismat Ghalib
Jis Ki
Qismat Main Ho Aashiq Ka Girebaan Hona
10:30 PM by UnknownNo comments
Dua Ki
Soorat Mein Uski Khatir,
Jo Mere
Honton Se Lafz Nikle,
Jo Meri
Aankhon Se Ashk Nikle,
Unhi Ke
Badle Mein Aey Khudaya!
Jab Bhi
Uska Naseeb Likhna!
Urooj
Likhna,
Kamal
Likhna,
Kabhi Na
Harf-e-Zawal Likhna,
Khushiyan
Likhna,
Aur Uski
Umer-e-Daraz Likhna….
10:11 PM by UnknownNo comments
Kadam ruk
se gaye hain aj phol bikte daik kar
Wo aksar
muj se kehta tha “muhabat phol jesi hai”
10:09 PM by UnknownNo comments
Ku Baku
Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne
Khushbu Kee Tarah Meri Pzeeraie Ki
Kiase Keh
Doon K Mujhe Chorr Diya Us Ne
Baat To
Sach Hai Maggar Baat Hai Ruswaaie Ki
Woh Kahein
B Giya, Loutaa To Merey Paas Aya
Bas Yahi
Baat Hai Achhi Mere Harjaie Ki
Us Ne Jalti
Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakhaa
Rooh Tk Aa
Gaie Taa’seer Maseehai Kee
Wednesday, June 12, 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)